Monday, June 1, 2009

urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals


urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabi kahe ajnabi tum ho

Log kahte hain ajnabi tum ho
Ajnabi meri zindagi tum ho

Mujhe apna shareeke gham karlo
Yun akele bahot dukhi tum ho

Dosto se wafa ki ummiden
Kis zamane ke admi tum ho

Dil kisi aur ka na hosaka
Aarzo meri aaj bhi tum ho

Main zamin pe ghana andhera
Aasman ki chandni tum ho

Log aate hain log jate hain
meri aankhon mein aaj bhi tim ho

5 comments:

Anonymous said...

Samandar kya kare’n ge qatra-e-shabnam chura lae’n
Jo mumkin ho to zakhm-e-hijr ka marham chura lae’n

Tumhara sath hai to aik bus apna hi jeewan kyu’n
Jaha’n walo’n ki sari umr aao hum chura lae’n

Baharo’n k chaley janey khiza’n aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mausam chura lae’n

Khabar ho neend ki paryo’n na hi khwabo’n ki devi ko
Tumhe’n palko’n ki doli mein bitha kar hum chura lae’n

Hame’n jazbaat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insa’n ki chashm-e-num chura lae’n

Sada ki muskurahat un k honto’n pe sajanay ko
Chalo shahi zara chupkay se un k ghum chura lae’n.
By:Yaseen Shahi

Anonymous said...

Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo

Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo

Din se jana’n kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo

Main hu’n mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo

Jin se khwabo’n mein rang bhar jae’n
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo

Shahi hum se wafa parasto’n ki
Koi to baat ankh mein rakh lo.
Poet:Yaseen Shahi

Anonymous said...

Kai badnamia'n hoti , kai ilzam sar jatey
Magar ae kash ham dono'n hamee'n dono pe mar jatey

Agar tum khab hotey to tumhe aankho'n mai rakkh letey
Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey

Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
Zamee'n ko chhorh detey mill k dono'n chand par jatey

Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mein rehtey
Samandar ki tarah hotey to ham tum mein utar jatey

Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey

Tumharay husn pe pehra hamaray ishq ka hota
jwa'n rakhtay sada tum ko agar lamhay theher jatey

Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.
By:Yaseen Shahi

Anonymous said...

"Unbreakable thoughts"
Main apni soch ki har soch mein yehi sochu’n
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan
Hai chahto’n ka ta’aluq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai rooho’n ka
K raat din teri socho’n mein mast rehta hu’n
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
You’n tere pyar ki mojo’n mien mast rehta hu’n
Tere khyal ko meraj-e-ashiqi samjhu’n
Tere jamal ko meraj-e-shayri samjhu’n
Tere wisal ko meraj-e-zindagi samjhu’n
Magar main subh-o-masa soch soch kar sochu’n
K tera hijr bhi aey ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashae’n toote’n gi
Na tere qurb k lamhaat laut pae’n ge
Na teri yaad ki ye kashtia’n hi doobe’n gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hu’n
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ae’n
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik doosaray ko dekhtay rahe’n shahi
Na dharkano’n ki sada tak hame’n sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakho’n baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chhura k le jaey.
Poet:Yaseen Shahi

Anonymous said...

hi nice shayari
dil ne kha hi kuch fariyaad karle haste haste haste tume yaad karle