Thursday, August 2, 2007

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal - Muhlahiza Farmayie Janab Nazeeruddin Ikram - Ek Ubhrte Hue Shayar


pehle roushni ko tarasne wale,
aaj hain hum shayon se dosti rakhne wale

woh suna chuke hain humein apna faisla,
har sawal ka jawab sawal se dene wale

kyon umeed karke udas karon khud ko,
jhooti ass banaee kwabon mein rehne wale

teri nasseb mein hai sirf sohrat-e-harf,
nahi milenge lafzoon ko mehsoo karne wale

[sohrat-e-harf= fame as a word smith, or fame of letters]

woh laga gaye hain mujh par ilzam kya kya,
rooz fareb, hamesha se ghaat karne wale

koun koun se zakmon ko chupaoon main,
itne gehre hain mere ghaw nahi chupne wale

kya pyar karon ab to nafrat bhi nahi ati,
youn loot gaye mujhe bewafaee karne wale

bech deta hai zamana masihon ko 'Nazeer'
rehbar he the Isa ko saleeb tak pohchane wale

[Judas sold Jesus 'Isa' for 30 peices of gold, he was betrayed by his companion. Saleeb in urdu means cross.]

Sunday, July 29, 2007

Dard Bhare Urdu Sher aur Urdu Shayari

tumse pyar karke main deewano mein shamil hua,
pal pal teri yad mein jalkar parwano mein shamil hua,
jis anjam ke hone se darta tha usi ka shikar hua,
aakhir teri barat mein barati bankar shamil hua.


nahak gila hai humse
beja hai shikayat bhi,
hum laut ke aa jate
ek bar aawaj to di hoti.