Saturday, February 6, 2010

Urdu Shayari, Urdu Sher-o-Shayari, Riyaz-e-mohabbat, Riyaz-e-Zabani


Janab Rajj Riyaz Saheb ne ye khubsurat Ghazal Hamare Nazr ki Hain:

Dad Dijiye:

Riyaz-e-mohabbat, Riyaz-e-Zabani

Har chhehr-e-masumiyat me tera chhehra nazar ata hai
Tu har chhehre me sama jaye to koi kya kare.
Tu jo has de to sama has de aur ye jaha has de
gam me tujhe na rona aye to koi kya kare.
Mehek aisi ki itr ka sagar bhi kam pare
ke har phool tujhe hi mehekaye to koi kya kare
Tujhe chand kahu to mehtaab-e-jaha ko kya kahu
Jab tu hi chand ho jaye to koi kya kare
Maroof tu hai ya mai koi faisla hua hi nahi
Tu hi koi faisla kar jaye to koi kya kare
Ajmato me hum tujhe hi yaad kar ke rote hai
Meri palkhe hi nam na ho to koi kya kare
Wo jeher jo tune mujhe diya wo jeher nahi raha
Ki Zindagi hi zeher ho jaye to koi kya kare
Kya kare koi akhir hai nahi kuch bhi bas me uske
Sab kuch tere hi hawale se chale to koi kya kare.

By Riyaz...a dost that never dies...

Friday, February 5, 2010

Urdu Shayari, Urdu Ghazal Kehte Kehte

Urdu Shayari, Urdu Ghazal Kehte Kehte



Janab R.M. Dixit Saheb ne Ghazal Bheji Hain Muhlihiza farmaiye:

Likhte hain:

Hello Hi Every body, I am submitting a
Gazal for your reading and comments:

Mareze Mohabbat unhi ka fasana
sunata raha dum niklte nikelte,
mager jikre shame alam jab se aaya
chirage saher bujh gaya jelte jelte.

Unhe khet main likha tha
dil muntzir hai,
jawab unka aaya, mohabbet na kerte,
tume dil lagane ko kisne kaha tha,
bahel jayega dil bahelte bahelte.

Irada na terke mohabbat ka lekin,
farebe tabssum main phir aagaaye hum,
abhi kha ke thoker sabhel bhi na paye
ki phir khayi thoker sabhelte sabhelte.

Bhala koi vads khilafi ki hed hai,
hisab apne dil main laga ke to dekho,
kayamet ka din aagaya refta refta
mulaqat ka din nikelte nikelte.

Marije Mohabbat uni ka fasana
sunata raha dum nikelte nikelte.

- Qamer Jilyani

Wednesday, February 3, 2010

Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher

I hope Dixit Shaeb is se acha likh pate any ways unhon ne likha hain kuch yun:

Sender: R. M. Dixit
A Gazal Riyaz Miyan ki nazer.

Hi, Riyaz,
Asalam Wailekum. aapne bari jaandaar
shayari pesh ki uske liye Shukriya. Kuch main
aap sub ke liye peshe khidme kerta hoon.Kaisi lagi:

" Ashk chupke se baha ke wo ro lete hain
main jo rota huin to kehte hain kuon rote ho.

Ye ashk to aankhon se behne ke liye hain
jakhme dil ko persakun dilane ke liye hain.

Dil jo roye to aaha nikle hai
ye aaha kaleja jalane ke liye hai.

Ashk main doob ke kyon rota hai
ye ahsk to palkon pe sajane ke liye hain.

Aaha nikle to hoton ko seele
ashk nikle to palkon se peele."

R. M. Dixit

Sunday, January 31, 2010

Urdu Shayari, Urdu Nazm, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Nazm, Urdu Sher



Hamare ek reader ne niche likhe hue es sher ka jawab bheja hain:

Jo koch is tarah hain:

Jawaab By Riyaz....a dost that never dies
Zamane ki bheer me hum bhi tanha the
Aap ne dekha par sher gungunane me reh gaye
Manzar-e-Afsos ab nahi dekha jata mujhse
Ansu shayad mere yu hi anjane me beh gaye
Socha tha humne kehenge unke har asbaab baya
Par shoj-e-haya ke chalte khazana me reh gaye.
Har ek neend se maine tha khudko jagaya
Ab soya hu to armaan is diwane ke deh gaye.
Chalta hu ab ke waqt ho chala hai
Chupke se aye the wo ya chhupane me reh gaye
Aftaab wo jo harkat the is dil ki
Aaj kyu khud ko wo behlane me reh gaye
Allah hafiz