Monday, December 24, 2007

Urdu Shayari - Urdu Sher - Ajnabi Duniya Main


Urdu Shayari - Urdu Sher - Ajnabi Duniya Main....



Sab Se Pehle app Sab Ka sukriya ada karna chahta hun ki app ne itna pyar is blog ko diya.

Eid-e-Kurban app sab ko mubarak hu.

Is blog ke sath sath mere aur bhi blogs aur sites hain Jo app dekh sakten hain Jaise...
Agar app ko Free PC To International Phone Calls ya Free PC To PC Calls is blog ko dekhiye.

Sekhiye kiss tarah app online Piase bana sakten hain jaise maine banaye hain dekhiye meri site: http://www.howtomakemoneywithgoogleadsense.org/

Sekhiye Khud ke Tshirts Design Karna - http://create-your-own-tshirt.blogspot.com/

Ab Aiye Ek Shayari Hu jaye:

Arz Hai -

Jo Asani se mile wo hai gam
Jo muskil se mile wo hai RUM
Jo kissi kissi ko mile woh hai dum
Jo sirf naseeb walon ko mile wo hain HUM.

Wednesday, December 5, 2007

Urdu Shayari - Hindi Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari

Urdu Shayari - Hindi Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari



Muze Takat Di jinda rehna ki
Muze hoansla diya chalte jane ka
mai sochta hoon kuda muz per kyon itna mehrbaan hai
ya shayad aage isse bhi bada registan hai

behisab waqt hai jinke pass
wo dua bhi mangte be hisab hain
apne pass to wahi kaba wohi kuraan hai
ya shayad aage ............ ......... ......

Ta umr gujar denge yu hi ladte ladte
hum wo sipahi hai jinke pass na tir hai na kaman hai
ya shayad aage........ ......... ......... .......

Appne khoon ko rang-e-hina banane ka hunar jo jante hain
wohi to insaan hai
ya shayad aage........ ......... ......... .......

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Love Shayari



Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai...

Friday, November 30, 2007

Urdu Sher - Urdu Shayari - Urdu sad sher -shayari

Urdu Sher - Urdu Shayari - Urdu Sad Sher - Shayari



Aaj kuch kami hai tere bagair,
Na rang hai na roshni hai tere bagair,
Waqt apni raftar se chal raha hai,
Bas dhadkan thami hai tere bagair...

Wednesday, October 31, 2007

Urdu Sher - Urdu Shayari - Mohabbat (mohabat Sher) Mohabat Shayari

Urdu Sher - Urdu Shayari - Mohabbat (mohabat Sher) Mohabat Shayari



Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai...



Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain


Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai ...


Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
rahe dono khamosh par baat karli...
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya,
in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li...


teri har ada mohabbat si lagti hai,
1 pal ki judaai muddat si lagti hai,
pehle nahi soch tha ab sochne lage hai hum,
jindagi k har lamho me teri zarurat si lagti hai


Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..

Urdu Sher - Urdu Shayari - Office Funny Shayari

Urdu Sher - Urdu Shayari - Office Funny Shayari



Boss:
Arz kiya hai......... .........

Kaam hote hain............... ...
Galtiyo ka sama hota hai................ ......... .
Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai.... ........
Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte............... ...
Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai.... .....


Employee's reply...
Arz kiya hai......... .....

Appraisal hote hain.........
Disappointment ka sama hota hai... ....
Aise mausam mein hi to ATTRITION jawan hota hai.......
Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte... ....
Ye fasana to resignation se bayan hota hai........

Urdu Sher - Urdu Shayari - har pal mein khush raho

Urdu Sher - Urdu Shayari - har pal mein khush raho



Zindagi hai choti, har pal mein khush raho...

Office me khush raho, ghar mein khush raho...

Aaj paneer nahi hai, dal mein hi khush raho...

Aaj gym jane ka samay nahi, do kadam chal ke hi khush raho...

Aaj Dosto ka sath nahi, TV dekh ke hi khush raho...

Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho...

Aaj koi naraaz hai, uske iss andaz mein bhi khush raho...

Jise dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush raho...

Jise paa nahi sakte uski yaad mein hi khush raho

Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush raho...

Bita hua kal ja chuka hai, useki meethi yaadein hai, unme hi khush raho...



aane wale pal ka pata nahi... sapno mein hi khush raho...

Haste haste ye pal bitaenge, aaj mein hi khush raho

..........Zindagi hai choti, har pal mein khush raho

Friday, October 12, 2007

Urdu Eid Sher - Urdu Eid Shayari - Eid Card

Eid Mubarak To All,

Eid Hai Ajj Aur Tum Pass Nahi Hu
Sab Kuch Hai Pass Par Tum Pass Nahi Hu
Mana Tu li Hai Eid Hum Ne Yahan Pe
Na Aaya Woh Maza Jo Tum Pass Nahi Hu





Adsense Keyword

How To Make Money With Google Adsense

Thursday, August 16, 2007

Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Sher - MAINEY TUM KO YAAD KIYA ....

CHAHAT K IS DERYAA PER
DERYAA AUR KINAREY PER
DIL AAJ AZAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

TANHAII KI RATOON MAIN
KHUD HI BATOON BATOON MAIN
IS DIL KO SHAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

JAAB SE TUM KO DEKHAA HAI
JAAB SE TUM KO CHAHAA HAI
DIL NE YAHI FARYAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

IS JEEWAN KI NISABOON MAIN
AUR RATOON K KHAWABOON MAIN
JAAG K BHI DIL SHAAD KIYA
MAINEY TUMKO YAAD KIYA...

PHOOL YE KHILNEY SE PEHLAY
TUM KO MILNEY SE PEHLAY
KHUD KO YUN BERBAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA ....


MAINEY TUM KO YAAD KIYA ....

MAINEY TUM KO YAAD KIYA ....

MAINEY TUM KO YAAD KIYA ....

BUS TUM KO HI YAAD KIYA

Tuesday, August 7, 2007

Urdu Shayari - Urdu Sher - Friendship Day Shayari

Har rishta bana diya khuda ne jab,
Dekha insaan phir bhi ghamgin tha,
Poncha phir usse khuda ne,
kyon ankhen num hai
tera kya kam hai,
Akhir tujhe kis bat ka gham hai..........

Bola khuda se insaan ne phir ki ......aye khuda,
De de khoon se bada koi rishta jo na hu juda,
Har dukh dard ka shathi hu aur hu fida......
Kaha khoda ne ki aye Insan....
sab kuch tu de diya ab kya hai bacha.....

kaha insan ne phir ki .....jab har rishta tooth jayega
Koi khooni rishta jab na kam ayega ......
us waqt ka koi rishta bata aye khuda......

Khuda ne tab kaha aye Insan.....
Jaa main bakkshta hoon tujhe ek aur rishta.......
Tu jab karega uss per bhroosa....
Tu jab bhi mange ge usse hoonsla....
Tab tab ayega teri madad ko woh....
Ab na ponch is rishte ka kya naam hai...
Dosti meri Taraf se duniya main tere liye...
Han Dosti sabse Bada Inam hai........

Tu doston Ye Khuda Ka inam Kabool Kijeye...

Aur is nachiz ko khabhi ek baar dil se Yadd Kijiye.....

God Bless you, you have touched my life.

Thursday, August 2, 2007

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal - Muhlahiza Farmayie Janab Nazeeruddin Ikram - Ek Ubhrte Hue Shayar

pehle roushni ko tarasne wale,
aaj hain hum shayon se dosti rakhne wale

woh suna chuke hain humein apna faisla,
har sawal ka jawab sawal se dene wale

kyon umeed karke udas karon khud ko,
jhooti ass banaee kwabon mein rehne wale

teri nasseb mein hai sirf sohrat-e-harf,
nahi milenge lafzoon ko mehsoo karne wale

[sohrat-e-harf= fame as a word smith, or fame of letters]

woh laga gaye hain mujh par ilzam kya kya,
rooz fareb, hamesha se ghaat karne wale

koun koun se zakmon ko chupaoon main,
itne gehre hain mere ghaw nahi chupne wale

kya pyar karon ab to nafrat bhi nahi ati,
youn loot gaye mujhe bewafaee karne wale

bech deta hai zamana masihon ko 'Nazeer'
rehbar he the Isa ko saleeb tak pohchane wale

[Judas sold Jesus 'Isa' for 30 peices of gold, he was betrayed by his companion. Saleeb in urdu means cross.]

Sunday, July 29, 2007

Dard Bhare Urdu Sher aur Urdu Shayari

tumse pyar karke main deewano mein shamil hua,
pal pal teri yad mein jalkar parwano mein shamil hua,
jis anjam ke hone se darta tha usi ka shikar hua,
aakhir teri barat mein barati bankar shamil hua.


nahak gila hai humse
beja hai shikayat bhi,
hum laut ke aa jate
ek bar aawaj to di hoti.

Friday, July 27, 2007

Waqt Nahi - Urdu Shayari


WAQT NAHI

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......








"Always keep smiling and be happy.Life is too small to complain."

Sunday, July 22, 2007

Muktalif Urdu Shayari - Urdu Sher

dil mein ho zaroorat to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti.
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti.
haste huye chehron se hai baajar ki zinat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti.

Wednesday, July 18, 2007

Kuch dard Bhare Sher

dil mein hozaroorat to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti.
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti.
haste huye chehron se hai baajar ki zannat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti.

Gair ko dard batane ki zaroorat kya hai ,
Apne jhagde mein jamane ki jaroorat kya hai.
Zindagi vaise hi bahut kam hai mohabbat ke liye,
Roothkar waqt gawane ki zaroorat kya.

Thursday, July 12, 2007

Urdu Shayari - Urdu Ghazal

Na ki hum Ne susti, Na ki hum ne masti..
Kya kuch tasawwar, Dekhai hai chusti...
Han sheencha hai hum ne...
Hai ki abyari...
Tabhi tu bani hai...
Ye payari payari...
Ye urdu shayari....
Ye Urdu shayari.

Kiya bahut jatan hai...
Khapaya ye sir hai.....
socha bahut hai...
diye apna waqt hai...
likhi hai likhawat....
phir hai sudhari...
tabhi tu bani hai...
itni payari...
ye Urdu shayari..
ye Urdu shayari.

Karo tum bhi mehnet...
hogi phir barkat...
melegi tumko phir...
mehnet ki barkat....
uthegi tumhi se....
doli kiski...
Jo hai kunwari...
kaho ge tum bhi ...
phir baten hamari...
Sachi hain Payari Payari....
Urdu Shayari...Urdu Shayari..

Sunday, July 8, 2007

Funny Urdu Shayari

Funny Urdu Shayari

Here is some funny Urdu shayari.

Suna hai ki Unku Kamar hi nahi hai..
Na jane Payjama kahan bandhte hain.

Some more Funny Urdu Shayari....

Noor-e-Aman, Noor-e-Chaman, Noor-E-Batata
Machar ne meri piit pe bari Jor se kata...

Utha ke rakha tha maine pair apna
Utha ke rakha tha maine pair apna
..............Bai jo kar rahi thi kam apna


Dor se Dekha Funny urdu sher-shayari (pakau shayari)

Dor se dekha tu ande uchal rahe the
Dor se dekha tu ande uchal rahe the
Pass jake dekha tu Takle Uchal rahe the...

Dor se dekha tu barish aa rahi thi
Dor se dekha tu barish aa rahi thi
pass jake dekha tu......
Bheeg gaya :)

Dor se dekha tu sher khada tha
Dor se dekha tu sher khada tha
Dar ke mare pass gaya hi nahi ;)

Thursday, June 28, 2007

Urdu Shayari - Ye daulat bhi le lo....

Woh kaagaz ki kashti...Woh barish ka paani
Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo Bhale Chaheen lo
mujhse USA ka Visa magar mujhko lauta do college ka
canteen vo chaay ka pani vo teekha samosaa college ki
sabse purani nishaanee vo chaayvaalaa jise saare kehte the...
jaani vo jaani ke hathon ki 'cutting' chaay meethee
vo chupkese journal mein bheji hui chitthi vo padhte
hi chiththi uska bhadakna vo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa...

kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa vo project ki
Khatir shahar bhar bhataknaa vo lecture mein doston
ki proxy lagaanaa vo sir ko chidhanaa ,vo aeroplane
udaanaa vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
vo orals ki kahani vo practical ka kissaa....
bimaari ka detention ke time bahanaa vo doosron ke
assignments ko apnaa banaanaa vo presentation ke
din paironka chhatpatanaa vo workshop mein din raat
pasinaa bahanaa vo exam ke din ka bechain maahaul par
vo maa ka vishvas - Teachar ka Bharosaa...

College ki wo lambisi raatein vo doston se canteen
me pyaari si baatein vo gathering ke din ka ladnaa
Jhagadnaa vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi vo college,
vo basen, vo shararatein vo javani... vo kagaz ki kashti
vo barish ka pani....
WOH KAGAAZ KI KASTI VO BARISH KA PANII..................

Urdu Shayari - Urdu Sher - Shayari Sach Bolti hai.........

Shayari Sach Bolti Hai
Laakh Pardon Main Rahoon Bhaid Meray Kholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Main Nay Dekha Hai Jab Meri Zaban Dolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Tera Israar K Chahat Meri Bay-Taab Na Ho
Waqif Is Gham Say Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho
Tu Mujhay Zabt Kay Sehraoon Main Kion Rolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Yeh Bhi Kya Baat K Aik Chup Chup Kay Tujhay Pyar Keroon
Gar Koi Pooch Hee Bethay Tou Main Inkaar Keroon
Jab Kissi Ki Baat Ko Dunya Ki Nazar Tolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai

Sunday, June 3, 2007

एक उभरती हुई Shayara Minaxi Jain

This sher is from Minaxi Jain, one of my friend....

Muhliyza phermaye.......

Chand Apna safar Khatma Karta raha...
Shamma Jhalti rahi..Raat Dhalti rahi...
Dil main yaado ke nashtar se toota kiye...
Ek tamanna Kaleja masalti rahi...

Ju bhi Pass aye Hamare, Apna lete hain..
Ju bhi haat aye hamare, Kha lete hain...
Hua phir bahut dard ajj humko....
Khabhi kahbhi hazmula bhi azma letain hain.

Saturday, June 2, 2007

कुछ और उर्दू Shares

#
Tumhare yahan ka mausam bada suhaana lage
ek shaam chura loon agar bura na लगे
#
zindagi ne zindagi bhar gum diye.
Jitne bhi mausam diye sab num diye.
Itne pe bhi nahi choda usne
Hum ne bhi ro ro kar DRUM bhar Diyeeeeeeee

Zindagi ne zindagi bhar........

#
rahe daur ishq se rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
kafile me subaah ke ek shor hai
yaani gafil ham chale, abb sona hai क्या
#
tumhein ishq ho ye khuda kare...
koi tum ko us se juda kare...

tere hont pe na hansi rahe...
teri aankh mein bhi nami rahe...

tujhey hijr ki wo jharii lage...
tu milan ki har pal dua kare...

tere khawaab bikhren gali gali...
tu bi kirchi kirchi chuna kare...

tujhey ishq per phir yaqeen ho...
isay tasbiyon mein parha kare...

mein kahon ke ishq to dhong hei...
aur tu ishq ishq kaha kare...

#
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,

Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai।

#
Tadapte the jo humse milne ko kabhi,
Jaane kyu wo aaj hamare naam se bhi katraate hai!

Hum bhi wahi hai, dil bhi wahi hai,
Phir kyu jaane log badal jaate hai!

#
andaaz apne dekhte hain aaine mein woh...
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho....

#
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai...
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai...
Teri Chaahaton ki Kasam, Ey Dost...
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai...

#
Jab mein subah ghar se nikla,
dil mein 1 armaan tha,
ek taraf Jungle,
aur ek taraf shamshaan tha,
Paav se (Feets) ek Haddi takrai,
Ueh uska Farmaan Tha,
Ae Raahi Zara Sambhalkar Chal,
Mein bhi kabhi insaan था

#
Firag Gorakhpori's............
Yaron Shab-e-Firag main roya main is Kadr....
Tha choudhe asman pe paani kamar kamar.........

And A original one.......... ;)

Zindagi ka har lutf hamne liya hai,
Jo bhi dil ne kha kiya hai,
ek khalash si dil main magar hai hamesha,
Kya sachmoch Jeene ka haq ada kiya hai?

#
Koi mere dil se pooche , tere teere - neem - e - kash ko

ye khalish kahan se hoti, jo jigar ke paar hota

-----

This means, ask my heart, after it has been hit by the arrow of yours... which did not get completely inside the heart

I wouldn't have got this pain if it went through it...

Sunday, May 27, 2007

Urdu Sher-O-Shayari

The reason behind creating this blog is to list Urdu Sher-O-Shayari as and when came in my mind. This Urdu sher sometimes can be mixed with some hindi words as well, but this is what advanced urdu sher is all about. Here sometimes you can see some Urdu shers from famous Urdu shayers as well. Please comment on the sher or correct it whenever you feel the wazan of sher is imbalanced. This all is original shers from myself .Please chorane se pehle shayaron ki taklifat ka dil se dhayn karen. Tu arz hai mera pehla sher.............Ki

Jab bhi teri yad ati hai mujhko,
Khon ke anson rolati hai mujhko,
Tera kya hai, daga dena pesha hai,
Aurat "bewafai" yad delati hai mujhko.

Lekin......

Aurat se hi duniya main kushnomayi hai,
Aurat hi tu teri meri mai hai,
Aurat se hi hai tasweer-e-Kaynat main rang,
Aurat ke Bina zindagi harjai hai.

Tu...

Sab ko mile wafa ye hi hamari arzo hai.
Sacha pyar dondna ek jostajo hai,
Jis ko mil gaya uska naseeb,
Nahi mila tu hamari tarah uski guftago hai.

Tu Janab ye app ki kismat par munhasir karta hai, ki app ko sacha pyar mila ya nahi, agar han tu app khush kismat hain, aur agar nahi tu app bhi hamari fehrist main shamil hain.