Saturday, May 15, 2010

Urdu Shayari, Urdu Nazm By Rehana


Urdu Shayari, Urdu Nazm By Rehana



Lijiye Rehana Sultana To Muhlihiza farmaiye:

App Nawabon ke Saher Hydrabad se hain: Likhti hain, ye sher unke kisi chahne wale tak pahonch jaye:


Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.

--

Rehana From Hyderabad.

Friday, May 14, 2010

Urdu Shayari, Urdu Ghazal by R.M. Dixit

Urdu Shayari, Urdu Ghazal by R.M. Dixit


Lijiye R.M. Dixit Saheb ki likhi hui ek aur Ghazal Muhlihiza farmaiye:

App Bhi Issi Tarah Apni Tasnifat bhej kar Is Blog main apni Ashar, Nazmain Shay Kara Sakte Hain.

---

Kya keh gayi kisi ki nazer kuch na poonchie
Kya kuch hua hai dil pe aser kuch na poonchie.

Wo dekhna kisika kanakhion se baar baar
Wo baar baar uska aser kuch na poonchie.

Ro ro ke kis tareh se kati raat kya kahen
Mer mer ke jee hai saher kuch na poonchie

Akser khyaale husna main pauche hai mer ke hum
Kyon ker hua hai taye ye safer kuch na poonchie.

--

Ram Mohan Dixit