Thursday, May 28, 2009

Urdu Sher - Azad Nazm - Urdu Azad Nazm


Urdu Sher-Azad Nazm- Azad Nazm


Shayed Jashne Azaadi par

Abba Tum ne

Bhayya ki ek kaapi lekar

Kuch acche se naare

Aur kuch pyaare pyaare geet likhe the

Azaadi ke,Yakjahti ke,Hubbe watan ke,

AAJ

Us kaapi ka mujh ko ek waraq

Gahr ke bikhre saman me mila

Jis par Aap ne ye likha hai

Hindu,Muslim,Sikh,Isaai!

Aapas me hain………

Aapas me hain………

Us ke aage Aap ne jane kya likha tha

Bhige bhige,phaile phaile,madham madham,lafzon ko main

Dekho kab se ghoor raha hu

Lekin Abba

Ab to unka padhana bhi na mumkin hai

Kyu ki in par

Khoon Apka phail gaya hai!!!!!