Thursday, July 14, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Urdu Shayari, Urdu Gazal


Janab Ashraf Anjaan Saheb Ne Jawab Talb Kiya hain.


Likhte Hain:


baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...
Dil k veerane me baraat chali aati hai...

Hai bas itni si zamaane ko shikaayat hamse...
kuch b kehta hoon teri baat chali aati hai....
Varna tujhko mai jahaan me khuda banaa deta...
tujhse pehle khuda ki zaat chali aati hai...

Teri aagosh se bikhra hua mai khaar sahi....
tujhse nisbat to meri yaar chali aati hai...

ANJAAN katti hai yunhi charaagh aankho me...
baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...

Wednesday, July 13, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Ek aur shayara maheen hemani Peshe Kidhmet hain.


Likhti hain:


jab tanhai ne gher liya tha mera jiya
tab aaya banke koi dil ka diya
tanhai se pyar ki duniya mei le aaya
ishq ke rang mei khilke deewana bana diya

tabse aankhein dhoondti hai idher udher use
dil khoya rehta hai yaadon mei uske
raat aur din kiya hai bhool chuki hoon mein
bas uske khwabon mei khoyi rehti hoon mein

--

Muskaan  (22/02/      )

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher


Mulahiza Farmiye Janab Jamil Akhtar Saheb Ko.

jaag  ja aye gaafil sawera hua
door saare jahan se andhera hua
gam ka manzar pila dia to kia hua
rooh ko rula dia to kia hua

apni zindagi fena ho gaei teri chah main
ab bhi to lelo mujhe apni baah main

phir to gam ka manzar bhi suhana hoga
jab tere Aagosh main sona hoga

Tuesday, July 12, 2011

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher




Ek Naye Shayar Pappu Parihar Kehte Hain.

Khak Dil Mein Mila Diya, Ab Ye Kahtee Hai Kyun Sila Diya.
Gam Ka Manzar Kyun Pila Diya, Rooh Ko Meri Kyun Rula Diya.

खाक दिल में मिला दिया, अब ये कहती है क्यूँ सिला दिया |
गम का मंज़र क्यूँ पिला दिया, रूह को मेरी क्यूँ रुला दिया |

خاک دل میں ملا دیا، اب یہ کہتے ہے کیوں سلا دیا
گم کا منظر کیوں پلا دیا روح کو میری کیوں رلا دیا