Janab Abdullateef Qadri Sahab shahar aur zilaa Chiniot se Hain. App sabhi ke liye nazr hain inki ye Nazm.
Unwaan: NAWA E INSAANIYAT
Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi!
Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon!
Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul!
Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon!
Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani!
Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon!
Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki!
Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!"
--
Abdullateef Chinioti