Showing posts with label Urdu Sher. Show all posts
Showing posts with label Urdu Sher. Show all posts

Friday, January 6, 2012

Urdu Shayari, Urdu Sher


Ajj Kuch Aise Ashar Nazar se Guzre ke bus Dil se wah wah Nikal Padi....

Arz Hain...

PHOL TU PHOL HAIN KALYUN PE NIKHAR AAJAYE
TUM JIDHARSE BHI GUZAR JAWO BAHAAR AAJAYE

SAJ SAWANR KAR KE KABHI DEKHA NA KRO AAYINA
AIYESA NA HU KE KAHEE,N AAYINE KO PEYAAR AAJAYE

Aur Ye hain ajj ka... aur kahen Mashur ho jane wala sher....Pasand Aye tu comments section main Dad zaroor Dijiye ga...ki....



MUNTAZIR SAB MERE ZAWAL KE HAIN
MERE AHBAAB BHI KAMAAL KE HAI


Wednesday, July 13, 2011

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher


Mulahiza Farmiye Janab Jamil Akhtar Saheb Ko.

jaag  ja aye gaafil sawera hua
door saare jahan se andhera hua
gam ka manzar pila dia to kia hua
rooh ko rula dia to kia hua

apni zindagi fena ho gaei teri chah main
ab bhi to lelo mujhe apni baah main

phir to gam ka manzar bhi suhana hoga
jab tere Aagosh main sona hoga

Tuesday, July 12, 2011

Urdu Shayari, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher




Ek Naye Shayar Pappu Parihar Kehte Hain.

Khak Dil Mein Mila Diya, Ab Ye Kahtee Hai Kyun Sila Diya.
Gam Ka Manzar Kyun Pila Diya, Rooh Ko Meri Kyun Rula Diya.

खाक दिल में मिला दिया, अब ये कहती है क्यूँ सिला दिया |
गम का मंज़र क्यूँ पिला दिया, रूह को मेरी क्यूँ रुला दिया |

خاک دل میں ملا دیا، اب یہ کہتے ہے کیوں سلا دیا
گم کا منظر کیوں پلا دیا روح کو میری کیوں رلا دیا

Wednesday, February 10, 2010

Urdu Shayari, Urdu Sher, Sad Sher

Urdu Shayari, Urdu Sher, Sad Sher

Lijiye R.M. Dixit Sheb ne bhi kuch Is tarah hamain mail kiya hain:

Janab Raji Riyaz saheb ne jo gazel
pesh ki wo nihayet hi kaabele tareef
her dil aziz hai. Per ker dil khush
ho gaya aur aah nikel gayi. Wah Janab
Masha Allah. Shaandar peshkesh. Shukriya.

" Wo zaher tumne muje diya,
wo jaher hi na raha,
Ki zindgi he zaher ho jaye to
koi kya kare"
Bahut Khoob.!

Kuch Shers Aapki Nazeer pesh e khidmet"

"Jo zaher pee chuka huin,
tumne mujhe diya,
ab tum to zindgi ki duain
Muje na do."

" Do he lafzon ka tha ye afsana,
jo suna ker khamosh ho baitha
Ibtada ye hai ki tum ko paya tha,
inteha ye hai ki khud ko kho baitha. "

" Sunao kisko afsana
na apna hai na begana,
Likha hai meri kismet,
main Jahan ki thokre khana."

Gujarish hai, nachij ke pesh kiye
sher per ke hausdla afjai kare.
Shukriya.

R M DIXIT

Wednesday, February 3, 2010

Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher

I hope Dixit Shaeb is se acha likh pate any ways unhon ne likha hain kuch yun:

Sender: R. M. Dixit
A Gazal Riyaz Miyan ki nazer.

Hi, Riyaz,
Asalam Wailekum. aapne bari jaandaar
shayari pesh ki uske liye Shukriya. Kuch main
aap sub ke liye peshe khidme kerta hoon.Kaisi lagi:

" Ashk chupke se baha ke wo ro lete hain
main jo rota huin to kehte hain kuon rote ho.

Ye ashk to aankhon se behne ke liye hain
jakhme dil ko persakun dilane ke liye hain.

Dil jo roye to aaha nikle hai
ye aaha kaleja jalane ke liye hai.

Ashk main doob ke kyon rota hai
ye ahsk to palkon pe sajane ke liye hain.

Aaha nikle to hoton ko seele
ashk nikle to palkon se peele."

R. M. Dixit

Sunday, January 31, 2010

Urdu Shayari, Urdu Nazm, Urdu Sher

Urdu Shayari, Urdu Nazm, Urdu Sher



Hamare ek reader ne niche likhe hue es sher ka jawab bheja hain:

Jo koch is tarah hain:

Jawaab By Riyaz....a dost that never dies
Zamane ki bheer me hum bhi tanha the
Aap ne dekha par sher gungunane me reh gaye
Manzar-e-Afsos ab nahi dekha jata mujhse
Ansu shayad mere yu hi anjane me beh gaye
Socha tha humne kehenge unke har asbaab baya
Par shoj-e-haya ke chalte khazana me reh gaye.
Har ek neend se maine tha khudko jagaya
Ab soya hu to armaan is diwane ke deh gaye.
Chalta hu ab ke waqt ho chala hai
Chupke se aye the wo ya chhupane me reh gaye
Aftaab wo jo harkat the is dil ki
Aaj kyu khud ko wo behlane me reh gaye
Allah hafiz

Saturday, November 21, 2009

Urdu Sher, Urdu Shayari, Mashoor Sher

Urdu Sher, Urdu Shayari, Mashoor Sher


Yeah ek bahut bhi mashoor sher hain app iske shayar ka naam bataiye:

Garmiye Hasrate Nakaam Se Jal Jate Hain.....
Hum Chiragon Ki Tarah Sham se Jal Jate Hain...

Shama Jis Agg Me Jalti hain Nomaish Ke Liye
Hum Usi Agg Main Gumnam se jal jate hain

And the famous one

Jab bhi Aata Hai Tera naam mere Nam Ke Sath
Jane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jate Hain.

Friday, November 20, 2009

Urdu Sher, Urdu Shayari, Funny Urdu Shayari

Urdu Sher, Urdu Shayari, Funny Urdu Shayari


Unhe Yeh Shikayat Hai Humse Ki,
Hum Har Kissi Ko Dekh Kar muskurate hain,

Nashamjh Hain woh kya jane,
Hame to har Chehre main woh hi nazr ate hain.

Lekin Sach main

Ek tir se do kamm hu jate hain. ;)

Wednesday, November 11, 2009

Urdu Shayari, Urdu Sher, Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari, Urdu Sher, Urdu Romantic Shayari


Har ek manzar par Udasi Chayi hain
Chand ki roshni me bhi kami ayi hain

Akele Ache the hum Apne Ashyane main
Jane Kyon Kyon Toot ke tumhari yaad ayi hain

--
Maaz

Thursday, September 10, 2009

Urdu Shayari, Urdu Sher, Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari, Urdu Sher, Romantic Urdu Shayari



[1] BE DARDO KI DUNYA ME SUKOON CHAH RAHA HU,
JINKI AANKHE NAM HAI UNHI SE APNI MUSKAAN MAANG RAHA HU,
NA MILE MUJHE BE WAFAO KI MEHFIL,
MAI TO SIRF WAFA KI TANHAI CHAH RAHA HU…………!


[2] HAZARO KHWAHISHE HAIN DIL ME,
PAR MERI KHWAHISH KA KYA KARUN,
HAR KHWAHISH PAR HAI KHUDA KI MARZI,
AB TUHI BATAA KHUDA NA CHAHE TO KYA KARUN……….!


[3] BEKHABAR HUN YE ZINDAGI KAHA LEKAR JAEGI,
LEKIN HAR JAGAH MUJHE KHUDA KI MARZI MILI,
MUJHE KHONE KA GHUM UNHE HAI, PAR MUJHE BHI HAI,
WO BHI TO EK HI THI JO MUJHE NA MILI……….!


[4] TU JAB MERE SAAMNE HOTI HAI,
TAB MAI KHUD KO BHOOL JAATA HU,
KYA KAHU MAI TERI KUBSURTI KA AALAM,
KE HAR AINE ME MAINE SIRF TUJH KO HI PAATA HUN………..!


[5] US ITTEFAAQ KO ITTEFAAQ SAMAJ BAITHE HUM,
MAGAR WO ITTEFAAQ, ITTEFAAQ NA THA,
TERI NAA RAAZGI JO THI,
WO TAQ AAZA WAFA KA THA……….!


[6] MERA RAASTA BHI TUMHO MERI ROSHNI BHI TUMHO,
MERA HAR MOD BHI TUM HO MERI RAAHAT BHI TUMHO,
BADA AJEEB SAFAR DIYA HAI KHUDA NE MUJHE,
MERA REHBAR BHI TUM HO MERI MANZIL BHI TUMHO……….!

Friday, June 19, 2009

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari


Maine usko salam likh bheja hai

Haale dil tamam likh bheja hai

Maine pucha tere hont kaise hain

Usne ik lafz jaam likh bheja hai

Maine pucha tere baal kaise hain

Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai

Maine pucha kab hogi mulaqaat

Usne qayamat ki shaam likh bheja hai

Maine pucha intna tadapti kyun hai

Us ne jawani ka inteqam  likh bheja hai

Maine pucha tere khadu khal kaise hain

Usne husne tamam likh bheja hai

Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai

Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai

Monday, June 1, 2009

urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals

urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabi kahe ajnabi tum ho

Log kahte hain ajnabi tum ho
Ajnabi meri zindagi tum ho

Mujhe apna shareeke gham karlo
Yun akele bahot dukhi tum ho

Dosto se wafa ki ummiden
Kis zamane ke admi tum ho

Dil kisi aur ka na hosaka
Aarzo meri aaj bhi tum ho

Main zamin pe ghana andhera
Aasman ki chandni tum ho

Log aate hain log jate hain
meri aankhon mein aaj bhi tim ho

Thursday, May 28, 2009

Urdu Sher - Azad Nazm - Urdu Azad Nazm

Urdu Sher-Azad Nazm- Azad Nazm


Shayed Jashne Azaadi par

Abba Tum ne

Bhayya ki ek kaapi lekar

Kuch acche se naare

Aur kuch pyaare pyaare geet likhe the

Azaadi ke,Yakjahti ke,Hubbe watan ke,

AAJ

Us kaapi ka mujh ko ek waraq

Gahr ke bikhre saman me mila

Jis par Aap ne ye likha hai

Hindu,Muslim,Sikh,Isaai!

Aapas me hain………

Aapas me hain………

Us ke aage Aap ne jane kya likha tha

Bhige bhige,phaile phaile,madham madham,lafzon ko main

Dekho kab se ghoor raha hu

Lekin Abba

Ab to unka padhana bhi na mumkin hai

Kyu ki in par

Khoon Apka phail gaya hai!!!!!

Thursday, January 15, 2009

Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher

Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

Wednesday, November 19, 2008

Mazahiya Shayari - Urdu Sher

Mazahiya Shayari - Urdu Sher



1) Un se pocha Jo Chand Nikalta Hain Kis Tarah se
Apni Zulfon Ko Rokh pe Jatak Diya Ke Yun

2) Ya rab nigahe naaz par bhi kyon na ho licen
wo bhi to qatal karti hai talwar ki tarah.

3) Is dunya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya,
pairon mein janjire dali hatho mein kaskol diya,
jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaye,
jab koi iljam laga mujh par la kar dool diya,
ab chahe andhi aye ya phir toofan aye,
maine bas aahat payi aur darwaza khula chod diya.

Wednesday, April 16, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu love Shayari - Urdu Love Sher



kahan aa ke ruknay thay rastay,kahan morr tha bhool ja
jo mil gaya usay yad rakh jo nahi mila usay bhool ja
wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja
wo jo bisat-e-jan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se hasool kia,usay mat bula usay bhool ja

Tuesday, March 4, 2008

Urdu Shayari - Urdu Sher - Kuch Pasandida Ashar

Urdu Shayari - Urdu Sher - Kuch Pasandida Ashar



Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.

Urdu Shayari - Urdu Sher - Muktalif Urdu Ashar - Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Muktalif Urdu Ashar - Romantic Urdu Shayari



1.hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur

2.yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur

3.abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

4.tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur

5.harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

6.hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_ fishaaN aur

7.marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

8.logoN ko hai KHursheed-e- jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

9.leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

10.paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur

11.haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jahan phoolon ko khilna tha wahin khilte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
koi akar humse pooche ,tumhe kaise bhoolaya haan..
hazaar zakhum aise the agar silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...
tumhain jitna bhoolaya hai tumhare yaad aae hai...

bahaar jo aae hai wohi khushboo hi lae hai...
tumhare lub agar meri khatir silte to accha tha...
tumhi ko humne chaha tha, tumhe milte to accha tha...

mila hai lutf humko bhi haseen yadon ki jhilmil main...
kati hai zindagi tum binmagar itne see hai dil main...
agar atay to accha tha, agar milte to accha tha....
tumhi ko humne chaha tha, tumehe milte to accha tha...

Urdu Shayari - Urdu Sher - Dosti Sher - Dosti Shayari

Urdu Shayari - Urdu Sher - Dosti Sher - Dosti Shayari



~DOSTI~
~~~~~~~~~~~~ ~~

"DOSTI mosam nahi, keh

apni muddat pori karay orr

rukhsat ho jay,

DOSTI sawan nahi, keh

toot kar barsay or

tham jae,

DOSTI aag nahi, keh

sulgy bharkey or

bujh jae,

DOSTI aftab nahi, keh

chamkey or

doob jae,

DOSTI phool nahi, keh

khiley or

phir murjha jae,

DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch

toot jae to kuch bhi nahi........ ...