Showing posts with label urdu gazal. Show all posts
Showing posts with label urdu gazal. Show all posts

Thursday, July 14, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Urdu Shayari, Urdu Gazal


Janab Ashraf Anjaan Saheb Ne Jawab Talb Kiya hain.


Likhte Hain:


baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...
Dil k veerane me baraat chali aati hai...

Hai bas itni si zamaane ko shikaayat hamse...
kuch b kehta hoon teri baat chali aati hai....
Varna tujhko mai jahaan me khuda banaa deta...
tujhse pehle khuda ki zaat chali aati hai...

Teri aagosh se bikhra hua mai khaar sahi....
tujhse nisbat to meri yaar chali aati hai...

ANJAAN katti hai yunhi charaagh aankho me...
baithe baithe jo teri yaad chali aati hai...

Wednesday, July 13, 2011

Urdu Shayari, Urdu Gazal

Urdu Shayari, Urdu Gazal


Ek aur shayara maheen hemani Peshe Kidhmet hain.


Likhti hain:


jab tanhai ne gher liya tha mera jiya
tab aaya banke koi dil ka diya
tanhai se pyar ki duniya mei le aaya
ishq ke rang mei khilke deewana bana diya

tabse aankhein dhoondti hai idher udher use
dil khoya rehta hai yaadon mei uske
raat aur din kiya hai bhool chuki hoon mein
bas uske khwabon mei khoyi rehti hoon mein

--

Muskaan  (22/02/      )

Friday, August 8, 2008

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Koi Diwar Na Dar......


Koi Dewar na dar rakhta hun
ghar ka ahsas magar rakhta hun

log rakhte hain charagon pe nazr
main hawaon pe nazar rakta hun

kyon na pathrou karen sab mujh par
sakh der sakh samr rakhta hun

ek nai simt janam leti hai
paon main apne jidhar rakhta hun

ye zamin cheez hai kya main Sabir
asmano ki khabr rakhta hun


--
Ayub Sabir