Friday, July 31, 2009

Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad


Urdu Ghazal, Urdu Shayari By Sarah Ahmad

Yeh raasta agar lamba hai tou kia hai
Yeh waqt agar guzar jaaye tou kia hai
Iss sooraj ko tou dhalna hai kabhie
Yeh aaj hi dhal jaaye tou kia hai
Iss tadapti dhoop ki pukar suni
Yeh tez leher mein gharoob ho jaaye tou kia hai
Yeh raasta baraf ki tarah hai thanda
Iss par paer phisil jaaye tou kia hai
Ehsaas dard ko ab hota hai nahin
Dil ko koi kuchal jaaye tou kia hai.
- By: Sarah Ahmad.

Agar app bhi issi tarah apni koi tehreer iss blog par chahtain hain tu hamain likhin, aur doston ko bhi batain:

Friday, June 19, 2009

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari


Maine usko salam likh bheja hai

Haale dil tamam likh bheja hai

Maine pucha tere hont kaise hain

Usne ik lafz jaam likh bheja hai

Maine pucha tere baal kaise hain

Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai

Maine pucha kab hogi mulaqaat

Usne qayamat ki shaam likh bheja hai

Maine pucha intna tadapti kyun hai

Us ne jawani ka inteqam  likh bheja hai

Maine pucha tere khadu khal kaise hain

Usne husne tamam likh bheja hai

Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai

Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai

Wednesday, June 17, 2009

Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris

Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris

Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay 
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi 
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao 
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say 
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay 
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho
Jaisay ho phir bhi achay ho

Tuesday, June 16, 2009

Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri

Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri


Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
Aankh khulate hii tujhe Dhundhane nikalaa hogaa

Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitane hii dimagon ne ye sochaa hogaa

Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa

Daaman-e-ziist me ab kuchh bhii nahi hai baaqii
Maut aa jay to yaqiinan use dhokaa hogaa

Raushanii jis se utar aai lahuu me mere
Ay masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

Sunday, June 7, 2009

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari



Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai