Thursday, June 28, 2007

Urdu Shayari - Ye daulat bhi le lo....


Woh kaagaz ki kashti...Woh barish ka paani
Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo Bhale Chaheen lo
mujhse USA ka Visa magar mujhko lauta do college ka
canteen vo chaay ka pani vo teekha samosaa college ki
sabse purani nishaanee vo chaayvaalaa jise saare kehte the...
jaani vo jaani ke hathon ki 'cutting' chaay meethee
vo chupkese journal mein bheji hui chitthi vo padhte
hi chiththi uska bhadakna vo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa...

kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa vo project ki
Khatir shahar bhar bhataknaa vo lecture mein doston
ki proxy lagaanaa vo sir ko chidhanaa ,vo aeroplane
udaanaa vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
vo orals ki kahani vo practical ka kissaa....
bimaari ka detention ke time bahanaa vo doosron ke
assignments ko apnaa banaanaa vo presentation ke
din paironka chhatpatanaa vo workshop mein din raat
pasinaa bahanaa vo exam ke din ka bechain maahaul par
vo maa ka vishvas - Teachar ka Bharosaa...

College ki wo lambisi raatein vo doston se canteen
me pyaari si baatein vo gathering ke din ka ladnaa
Jhagadnaa vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi vo college,
vo basen, vo shararatein vo javani... vo kagaz ki kashti
vo barish ka pani....
WOH KAGAAZ KI KASTI VO BARISH KA PANII..................

No comments: