Wednesday, February 3, 2010

Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher


Urdu Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Sher

I hope Dixit Shaeb is se acha likh pate any ways unhon ne likha hain kuch yun:

Sender: R. M. Dixit
A Gazal Riyaz Miyan ki nazer.

Hi, Riyaz,
Asalam Wailekum. aapne bari jaandaar
shayari pesh ki uske liye Shukriya. Kuch main
aap sub ke liye peshe khidme kerta hoon.Kaisi lagi:

" Ashk chupke se baha ke wo ro lete hain
main jo rota huin to kehte hain kuon rote ho.

Ye ashk to aankhon se behne ke liye hain
jakhme dil ko persakun dilane ke liye hain.

Dil jo roye to aaha nikle hai
ye aaha kaleja jalane ke liye hai.

Ashk main doob ke kyon rota hai
ye ahsk to palkon pe sajane ke liye hain.

Aaha nikle to hoton ko seele
ashk nikle to palkon se peele."

R. M. Dixit

5 comments:

Alfaaz Sadaf said...

Kyu wo gujre pal,wo gujre lamhe yaad aate hai
Teri khushi ke liye ham har raat ansoo bahate hai...
yu to meri ankho ki roshni chali gayi
phir tu mujhe har taraf kaise nazar aati hai

nazare be hayaa ho gayi is Zalim zamane me
ham kha gaye dhokha khud ko chhipane me

Toot to jate hai ghare riste bhi anzaane me
sadiyo lag jate hai ek riste ko banane me

karoo kaise yaqeen is duniya pe
ham to sitaare hai kabhi na kabhi to toot zaan hai...

Alfaaz Sadaf said...

Tum gaye to ankhe nam ho gaye
Tumse milne ke silsiley khatam ho gaye

Wo laute to zaroor, lekin usse pahle meri ankhe band ho gaye

Aur ye zaalim taqdeer ke kya sitam ho gaye
Ham to jite ji kabra me dafan ho gaye.....

Alfaaz Sadaf said...

Tum nahi, gam nahi, aur ye zaalim sharaab bhi nahi
Meri barbadiyon ka koi zawaab nahi....

padh to luu kitaabe bahut si,par tere dil se behtar koi kitaab nahi.........

na jaane kis-kis ki maut aayi hai,
aaj rukh pe kisike koi naqaab nahi.....

Wo sitam sirf ham pe karte hai,
Dard ka jinhe koi ehsaas nahi.....

Uuf! Aisi tanhai ka to koi jawab nahi.....

Anonymous said...

KISI KI KHUSHI KI INTEHA HAIN AANSU
KISI KE GHAM KI DAWA HAIN AANSU
MUD KE DEKH LE ROOTH KE JANE WALE
MERE TOOTE HUYE DIL KI SADA HAIN AANSU
KYA SAWAL KOI KARENGE KHUDDAR LAB
EK MAJBOOR KI ILTIJA HAIN AANSU
SUNA HAIN DIL AWAAZ KHUDA SUNTA HAI
GUNHA KI SACHCHI TAUBA HAIN ANNSU
TARIQ TERI GHAZAL KE HAR EK SHER ME
EK NARM EHSAS KA IENAA HAIN ANNSU

ye ghazal kaisi lagi, please apne comments zarur dijyega, shukrguzar rahung - masuedtariq@gmail.com

Masood Ahmad Ansari said...

Anonymous bhai aapki gazal bahut achhi lagi....