Saturday, February 6, 2010

Urdu Shayari, Urdu Sher-o-Shayari, Riyaz-e-mohabbat, Riyaz-e-Zabani


Janab Rajj Riyaz Saheb ne ye khubsurat Ghazal Hamare Nazr ki Hain:

Dad Dijiye:

Riyaz-e-mohabbat, Riyaz-e-Zabani

Har chhehr-e-masumiyat me tera chhehra nazar ata hai
Tu har chhehre me sama jaye to koi kya kare.
Tu jo has de to sama has de aur ye jaha has de
gam me tujhe na rona aye to koi kya kare.
Mehek aisi ki itr ka sagar bhi kam pare
ke har phool tujhe hi mehekaye to koi kya kare
Tujhe chand kahu to mehtaab-e-jaha ko kya kahu
Jab tu hi chand ho jaye to koi kya kare
Maroof tu hai ya mai koi faisla hua hi nahi
Tu hi koi faisla kar jaye to koi kya kare
Ajmato me hum tujhe hi yaad kar ke rote hai
Meri palkhe hi nam na ho to koi kya kare
Wo jeher jo tune mujhe diya wo jeher nahi raha
Ki Zindagi hi zeher ho jaye to koi kya kare
Kya kare koi akhir hai nahi kuch bhi bas me uske
Sab kuch tere hi hawale se chale to koi kya kare.

By Riyaz...a dost that never dies...

1 comment:

Anonymous said...

dard ke phool bhi khilte hein, bikhar jaate hein
zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jaate hein

us deareeche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhuka aye hue hum chup chap chale jaate hein

raasta roake khdi hey, yehi uljhan tab se
koi puche to kahein kya, k kidhar jaate hein

narm awaaz bhali baatein muhazzab lehjey
pehili baarish mein hi, yeh rang utar jaate hein