Saturday, May 15, 2010

Urdu Shayari, Urdu Nazm By Rehana


Urdu Shayari, Urdu Nazm By Rehana



Lijiye Rehana Sultana To Muhlihiza farmaiye:

App Nawabon ke Saher Hydrabad se hain: Likhti hain, ye sher unke kisi chahne wale tak pahonch jaye:


Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.

Apne dil ke raaston ko aise band mat karo,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.

--

Rehana From Hyderabad.

6 comments:

rammohandixit said...

Wah Kya Baat hai kitni gehri
her dil aziz nazm Mohterma
Rehana Sultana ne inayet ke.
such much dil aur tabiyet khush
ho gayi Hamari taref se tahe
dilse unhain Shukriya aur
Khuda se
dua kerte ki hain unke saare
kalaam haman naseeb honge. Ek
Share arz kerta hoon, gaur
phermaiyen :

" Jo thora der na aati khayale
tanhaye,
Tau main shaher ke hed se
nikel gaye hote."

" Dil samajhta tha khelwet main
tanha honge,
Maine perda jo uthaya to
Kayamet nikli."

Khudahafiz. R. M. Dixit

rammohandixit said...

Hi Rehana Sahiba,
Aadab, tasleem.

Aapka 15 May wala kalaam,
Syhayari bahut pasand aaye.
"Dil ki tanhaiyon se Zindgi
ke raaste nahin kat te"
Is her dil aziz sharyari ke
tahe dil se Shukriya. Ek sher
aapki nazer peshe khidmet:

"Mushkil hai bahut mushkil
Chahet ka bhula dena,
Aasan nahin, dil ki ye aag
bujha dena.
Dil walon ki duniya main
hai rasm ger koi,
Aaye to kasam lena, jaye to
dua dena."
Khudahafiz Rehana.

R. M. Dixit Jodhpur , India.

akshid said...

"Chaman ke takht per sahe gul ka tajammul tha ,
Hazaron bulbullo ki fauz thi shor tha gul tah ,
Khazan ke din jo dekha kuch na zoojkhaar Gulshan me ,
Batata Bhagbaan Ro-Ro ke Yaan Guncha yahaan gul tha ! "

Anonymous said...

Aadab,
rehana ji.

kaafi umda,hum aapki is soch ke mureed se ho gaye ..hamari dua hai 'aage bhi aap..yun hi likhna baqaraar rakhein..' 'sanju'

Unknown said...

Salam arz hai,
Buss dua hai khudaye kareem se ki jis shaqs ke liye ap itne betaab hue jarahe hai, vo apke ehsaaso ko kheemat dekar aptak pahuch jaye.
Ye dua isliye ke humara bhi koi humein tanha kar gaya hai.

Akbarali. said...

Shubhanaallha kya raju kiya hai rehana ji ap ne ap ko apna pyar jarur mil jayega ye duva hai hamari uush khuda ko yad karo jo apko or unko jindgi bakhshi hai vohi ap ko milayega duva karte raho rabse beshak khuda duva magnevalo ko dost rakhta hai... khuda hafish (akbarali)