Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher
Na who farishta ho na farishtey jaisa hoMujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
4 comments:
Kabhi tum Lout key aao....
Mujhay bus itna samjhao.
Kahan se Seekh li tum ne?
ADA mujh ko bhulanay ki..
Tumhai mujh sey jo Shikwa tha...
Ya koi bhi Shikayat thi...
Na ki koshish batanay ki
Bhala youn chhor k Apna
Koi Apnon ko jata hai?????
Musalsal Dukh ki Barish mai
Youn Jeewan Bhar Rulata hai???
Abhi tou Rait Geeli hai..
Banay Apnay Gharonday ki
Abhi sub Naqsh Baaqi hain...
Gaye Qadmon pe Lout aao..
Mujhay bus itna Samjhao
Kahan sey Seekh li tum ne?????
ADA mujh ko Bhulanay ki.......
very nice sharing, gud one
http://futurevisionpk.com
kash k kabhi aisa hota k jane wale lout k aate this poster is very nice god bless u
zabardast grl..
asa he humsafar chahiye
Post a Comment