Urdu Shayari, Urdu Ghazal by Jagjit Singh
har traf har jagah bay shumaar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
subah se shaam tak bojh dho tha hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
har taraf bhagte dodte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi
roz jeeta hua roz marta hua
har naye din,naya intezaar aadmi
zindagi ka mukaddar safar dar safar
aakhri saans tak beqraar aadmi
aakhri saans tak beqraar aadmi
2 comments:
wah wah...ese hi hote he aadmi
Behad lajawaab ghazal Jagjet
singh ne gayi thi. Bahut pasandaaye
haalanki maine kai baar suni hai
phir bhi dil nahin bharta. Shukriya
Janab.
Hum ager koi Gazal, Nazm pesh kerna chain to kaise karen. Batayen.
R. M. dixit
Post a Comment